Meri Jaan
Tum, pyaar ki puhaar ho
jhagde ki jhankar ho
yaar ka dulaar ho
meethi si kataar ho
baahon ka shringar ho
pyaara sa angaar ho
mujhse bhi tez ho
Tum, sansani-khez ho!
Tum, samajhti toh shresht ho
phir bhidti bhi great ho
yun toh tum padhaku ho
ladaai mein ladaaku ho
pyaar ki bechaini ho
takraar mein karaar ho
khushiyon ka minar ho
dard mein kinaar ho.
Meri zindagi savarlo
thoda sa tum pyaar do
jaane kab milogi mujhko
dil mein kab rakhogi mujhko
yun toh roz pukarti ho
paas kabhi na aati ho
meri zindagi mein Jaanu
Tumhe sabse zyaada chahta hun
pyaar ka ye vaada main
chupke se nibhata hun
..... Love You Jaan
No comments:
Post a Comment