Tuesday, December 1, 2009

Main Ek Insaan Hoon

Main ek insaan hoon
Bhookh aur pyaas hoon
Galtiyon ka pahaad hoon
Bhool ka yaar hoon
Ershya ka ghar hoon
Ahankar ka dher hoon
Buraiyon ki kheti hoon
Kamiyon ka jamavda hoon
Dhokhe ki jad hoon
Shadiyantra ka rachaita hoon
Vaasna ka sangi hoon
Ji haan main ek insaan hoon.



Shukrana Kudrat ka
Main ek insaan hoon
Prem ka dwaar hoon
Chahat ka dariya hoon
Izzat ka jharna hoon
Seekh ka paatra hoon
Insaaniyat ka saga hoon
Dosti ka pakka hoon
Dushmani ka kaccha hoon
Zindagi mein saccha hoon
Josh ki umang hoon
Umeed ka srot hoon
Asha ki kiran hoon
Hausle ka bhandar hoon
Vishwas ke kabil hoon
Bharose ke layak hoon
Ji haan main ek insaan hoon.

4 comments:

Anonymous said...

both d positive n negative aspects of a human being r very well presented ..........gud keep it up

Unknown said...

hmm nice one man......

Adeline said...

hehe..gud one..well written

Do visit my blog
http://crystallinea.blogspot.com/

Pooja Valechha said...

So true.