Darta nahi ye pyaar uske baapse
Darta hai sirf apne karm ke paapse
Is umar mein itna kuch kardiya
Sab kuch yuhin complicated banadiya
Pyaar tujhe karta hun bahut jaaneman
Saabit nahi karpaaya abtak apne dil ki aggan
Yaad bahut karta hun tumko
Roz thoda marta hun samjho
Kami tumhari chubhti hai mujhko
Dinbhar akela rulati hai phir toh
Phone par adayein tumhari lagti hain khaas
Jaane kab sachmein baithogi mere paas
Kadi mehnat se tumhein banaunga apna
Phir hoga poora humdono ka sapna
Galtiyon ko meri kardo maaf
Is gandagi ko kardunga zindagi se saaf
Nibhaunga tumse har ek vaada
Karunga pyaar tumhe khudse bhi zyada
Musibaton mein sahara tum ho sanam
Jeevan ka pyaara lakshya bhi Tumhi ho, kasam.
No comments:
Post a Comment