Main Sochta Hoon
Buddha chala na jaaye
Baapu ruk na jaaye
Maa thak na jaaye
Chacha rooth na jaaye
Chachi gum na jaaye
Bhai ka pyaar mar na jaaye
Chhota durr na jaaye
Behen parayi na ho jaaye
Jaanu se jhagda na hojaye
Dosti toot na jaaye
Apnon se rishta chhoot na jaaye
Parayon mein izzat na jaaye
Kismat foot na jaaye
Umrabhar kaamkaj na jaaye
Aanewala dhan yuhin vyast na jaaye
Mujhse kabhi imaan na jaaye
Jeetejee bacche chhodkar na jaaye
Marne ke baad mera naam na jaaye
Sirf itna chahta hoon
Meri aatma buraiyon ke ghar se chalijaaye
Aankhon se guroor chala jaaye
Mera ahankaar toot jaaye
Galti ka dussahas chala jaaye
Paap ka boj hat jaaye
Dukhon ka badal chhat jaaye
Mann se gham chala jaaye
Zindagi se dushman chala jaaye
Khushiyon se nind udd jaaye
Maut par se sawal chala jaaye
Jab sabkuch chala jaaye
Toh mere praan bhi chhupke se jaayein
No comments:
Post a Comment